Tawaaf ki Niyyat Shart hai.
Har tawaaf mutlak Niyyate Tawaaf se ada ho jaata. Niyyat karte waqt Farz, Waajib, Sunnat, Nafl kehna zaroori nahi.
****************
Tawaaf ka tareeqa :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾Ab sidhe haath ki taraf khisak kar Hajr e Aswad ke bilkul saamne aa jaayen aur kaano tak haath uthaayen aur padhen :Bismillāhi walhamdulillāhiwallāhu akbar wassalaatu wassalaamu ala Rasoolillāh.Phir ye dua padhen :Allāhumma eimaanam bika wa wafa’am bi'ahadik wa ittiba alali sunnati nabiyyik Muhammadin sallallāhu alaihi wa sallam.(Shuru ALLĀH ke naam se aur tamaam ta’areef ALLĀH hi ke liye hai aur ALLĀH bahot bada hai aur ALLĀH ke Rasool sallallāhu alaihi wa sallam par durood o salaam ho.)Dua padhkar Istelaam karen.Istelaam – Hajr eAswad ko chumna.Agar koi takleef na ho to Hajr e Aswad par rakhkar aawaaz naho is tarah bosa den aur agar hujum ke sabab chumna mayassar na aa sake to hatheliyo se chhookar apni hatheliyoko chum len aur agar haath bhi na pahunch sake to haatho ka ishaara karke apni hatheliyo ko chum len.Ab Ka’aba shareef ki taraf chehra kiya hue sidhe haath ki taraf thoda sa sirkiye aur phir foran is tarah sidhe ho jaayen ke khaan e Ka’aba aap ke ulte haath ki taraf rahe aur is tarah chalna shuru karen ke kisi ko aap ka dhakka na lage.Ramal – Mardo ko shuru ke 3 chakkar me Ramal karna hai ya’ni Akadkar kandhe hilaate hue chhote chhote qadam uthaate hue thoda tez chalna hai (daudna nahi hai) aur baaqi ke 4 chakkar me Ramal nahi karna hai. Aurto ke liye Ramal nahi hai.Tawaaf ke dauraan jitna ho sake utna Khaan e Ka’aba ke qareeb rahen.Tawaaf ke dauraan padhne ki Duaen :Tawaaf ke 7 chakkar ki 7 alag alag duaen hain. Ye duaen yaad na ho to Zikr, teesra aur chotha kalmah aur Durood shareef padhte rahen.Rukn e Aswad se Rukn e Shaami tak ye padhen :Sub'hān Allāhi walhamdulillāhiwa laa ilāha illallāhu wallāhu akbar wa laa hawla wa la quwwata illa billāhil aliyyil azeem.(Paak hai ALLĀH aur sab ta’areefen ALLĀH hi ke liye hai aur nahi hai koi ma’abood siwa e ALLĀH ke aur ALLĀH sab se bada hai, Nahi hai bachna gunaaho se aur nahi hai taaqat neki ki magar (sirf) ALLĀH ki madad se hai jo buland aur buzurg hai.Laa ilāha illallāhu wahdahoo laa shareeklahu lahool mulku walahul hamdu yuhyi wa yumitu biyadihil khair wa huwa al kulli shayeen qadeer.
Nahi hai koi ma’abood siwa e ALLĀH ke Wo ek hai Koi shareek nahi us ka Usi ke liye hai baadshaahi aur usi ke liye hai sab ta’areef Wo zinda karta hai aur maarta hai aur Us ke haath me bhalaai hai aur har cheez par qaadir hai.
Rukn e Shaami se Rukn e Yamaani tak ye Dua padhen :Allāhumma inni as'aluk ar-raahati indal mauti wal afaw indal hisaabi.Allāhumma inni as'aluk rizaaq wal jannat wa aoozu buk min ghazabik wannaar.
Rukn e Yamaani par pahunche to Durood shareef padhen aur tamaan musalmano ke liye dua karen aur phir ye Dua padhna shuru karen :
Rabbana aatina fid dunya hasanatanw wa fil aakhirati hasantanw wa kina azaaban naar wa adkhilnal jannati ma’al abraari Ya Azeezu Ya Ghaffaaru Ya Rabbul aalameen.
(Aye hamare Rab! Hume dunya me bhalai ata farma aur aakhirat me bhalai ata farm aur hume dozakh ki aag ke azaabse bacha aur apne nek bando ke saath jannat me daakhil farma Aye har shay par ghaalib aye bakhshane wale aye saare jahaan ke parwar-digaar.)Jab Hajr e Aswad par qareeb pahunche to aap ka ek chakkar pura hua.
Ab aap dusra chakkar shuru karne ke liye Hajr e Aswad ki sidh me khade hokar Hajr e Aswad ki taraf munh karen aur dono kaano ko haatho tak uthaakar ‘Bismillāhi walhamdulillāhiwallāhu akbar wassalaatu wassalaamu ala Rasoolillāh’ padhen aur dua padhen.
Aur Istelaam karen.
Aurdusra chakkar shuru karen.
Isi tarah 7 chakkar pure karen.
Ek tawaaf me kul 7 chakkar aur 8 bose honge.Tawaaf ke masa'il :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾(1) Tawaaf ki shuruat Hajr e Aswad se karni hogi. Agar kisi neHajr e Aswad se tawaaf shuru nahi kiya to Tawaaf na hoga aur Dam waajib aayega magar iaada kar le to dam saakit ho jaaega.
(2) Tawaaf 7 chakkar par khatm ho gaya ab agar 8wa chakkar shuru kar diya to ek jaded tawaaf shuru hua use bhi ab 7 phere karke mukammal karen.
(3) Mahez wahem aur waswase ki wajah se 8wa phera shurukar diya ke shaayad abhi 6 chakkar hi hue hain tab bhi 7 phere karke mukammal karen. Lekin 8we phere ko 7wa gumaan kiya baad me maaloom hua ke 7 ho chuke hain to usi phere par khatm kar den, 7 pure karne ki zaroorat nahi.
(4) Tawaaf ke phero me shak waaqe'a hua ke kitne hue to agar Farz ya Wajib tawaaf hai to phir se tarteeb ke saath 7 phere karen aur agar kisi aadil shakhs ne bata siya ke utne phere hue to us ke qaul par amal karna behtar hai aur agar do aadil ashkhaas ne bataaya to un ke kehne pae zaroor amal karen.
(5) Agar Nafl tawaal hai to ghaalib gumaan par amal karen.
(6) Masjid e Haraam ke baahar se tawaaf kiya to Tawaaf na hoga.
(7) Koi aisa beemaar shakhs jo khud tawaaf nahi kar sakta aur wo sop raha hai us ek saathiyo ne use tawaaf karaaya to agar sone wale mareez ne pehle se hukm diya tha to tawaaf ho jaayega warna na hoga.
(8) mareez ne apne saathiyo se mazdoor lane ke liye kaha ke‘mazdoodr laakar mujhe tawaaf kara do. Ye kehkar use neend aa gai aur so gaya to agar foran mazdoodr laakar tawaaf kara diya to ho jaayega aur dusre kaam me lag gaye aur der se mazdoor laakar tawaaf karaaya to tawaaf na hoga lekin mazdoori dena laazi hai.
(9) Beemaar ko tawaaf karaaya aur apne tawaaf ki bhi niyyat hai to dono ke tawaaf go gaye agarche dono tawaaf ki qismen bhale hi alag ho.
(10) Tawaaf karte karte wuzu toot gaya to wuzu karke waapas jaha se chhoda thaw aha se shuru karen. Agar maqaam bhul jaayen to Hajr e Aswad se shuru karen. Pehle ke chakkar shumaar kar len aur baaqi ke chakkar pure karen.Umrah ke tawaaf me agar 3 chakkar pure hone se pehle wuzu jaata raha to wuzu karke phir se pehle chakkar se shuru karen aur 3 chakkar pure hone ke baad wuzu toota to wuzu karke baaqi ke chakkar pure karen.
(11) Ramal us tawaaf me sunnat hai jis tawaaf me Saee karni hai.Ramal sirf 3 chakkar me Sunnat hai. Saato phero me karna makrooh hai. Lihaaza pehle phere me Ramal na kiya to dusreaur teesre me kar len, Pehle aur dusre me na kiya to teesre phere me kar len aur agar teeno phero me na kiya to ab na karen.
(12) Tawaaf ke 7 phero me Iztibah Sunnat hai. Iztibah sirf usi tawaaf me hai jis ke baad saee karni ho. Agar saee na karni ho to Iztibah bhi na karen. Agar Tawaaf waajib ki namaaz iztiabh ke saath padhi to Makrooh hai.
(13) Tawaaf ke duraan be-khayaali me ya bheed ke sabab seena ya peeth Ka’aba shareef ki taraf ho jaaye to jitna faasilachale the utne qadaam waapas aa jaayen.
(14) Tawaaf ke duraan Namaaz ki azaan ho jaaye to tawaaf wahi chhod den aur baaqi ke chakkar namaaz ke baad pure karen.
(15) Dua ke liye Tawaaf me rook nahi sakte is liye tawaaf karte karte dua maange.
(16) Umrah ke tawaaf ka ek bhi chakkar chhut gaya to Dam waajib aayega.
(17) Tawaaf ke liye koi waqt makrooh nahi hai. Haan agar makrooh waqt me tawaaf ke baad Tawaaf e waajib ki namaazna padhen balke makrooh waqt guzarne ke baad padhen
.Ehtiyaat :‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Tawaaf ke dauraan mard aur arte bad-nigaahi na karen aur na hi shahwat ke saath kisi ko chhuen.
(2) Tawaaf me Hajr e Aswad, Rukn e Yamaani, Multazam ya Maqaam e Ibrāheem ko chhune ki koshish me khayaal rakhen ke bheed me kisi ko takleef na ho.
(3) Agar kisi me kuchh aib ya galti dikhe to use hikaarat ki nazar se na dekhen. Agar koi musalman arkaan theek se adana karta ho to use narmi ke saath samjhayen.
(4) Islaami bahene khud ko mardo se alag rakhen. Aksar na samajh aurte Hajr e Aswad ya Rukn e Yamaani ya Ka;aba shareef ke qareeb hone ke liye mardo ke hujoom me daakhil ho jaati hain ye bahot buri baat hai.
Yaad rake key aha ka ek gunaah ek laakh ke barabar hai.Tawaaf me ye baaten Haraam hai :‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
‾
(1) Be-wuzu tawaaf karna.
(2) Jism ka jo hissa satre aurat me saamil hai us ka chothai hissa ya us se zyada khula hua rehna. Maslan : Raan ka chothai hissa ya aurto ke kaan ya kalaai ka chothai hissa khula rehna.
(3) Bagair uzr ke wheelchair ya doli me baithkar ya kisi ke kandho par baithkar tawaaf karna.
(4) Bagair uzr ke baithkar sarakna ya ghutno par chalkar tawaaf karna.
(5) KA’aba shreef ko sidhe haath par rakhkar ulta tawaaf karna.
(6) Tawaaf ke dauraan Hateem ke andar se guzarna.
(7) 7 phero se kam karna.Tawaaf ke Makroohaat :‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(Makrooh kaam karne se Arkaan ada ho jaate hain lekin sawaab kam hota hai.)
(1) Iztibah ya Ramal ka jaha jaha hukm hai us ko chhodna.
(2) Tawaaf ke dauraan fuzul baat karna.
(3) Hamd, Durood shareef, Naat ke siwa dusre ash’aar pashna.
(4) Zikr, Dua, Durood wagairah buland aawaaz se padhna, chaahe ijtemai taur par ho ya infaradi.
(5) Napaak kapdo me tawaaf karna.
(6) Gande joote ya chappal lekar tawaaf karna.
(7) Bechna aur kharidana.
(8) Tawaaf ke dauraan idhar udhar fuzul dekhna.
(9) Tawaaf ke phero me ziyada faasila dena ya’ni kuchh phere kiye phir der tak thehar gaye ya aur kisi kaam me lag gaye aur baaqi ke phere baad me kiye.(Lekin agar wuzu toot jaaye to wuzu karke aayen aur jaha se chhoda tha wahi se pura karen.)
(10) Bhook, Paishaab ya pakhaana ki shiddat ki haaalat me tawaaf karna.
(11) Ek tawaaf ke baad us ki waajib tawaaf ki namaaz padhe bagair dusra tawaaf shuru karna.
(Magar makrooh waqt ho to dusra tawaaf shuru kar den aur makrooh waqt khatm hone ke baad jitney tawaaf kiye ho us hisaab se 2-2 karke waajib tawaaf ki namaaz padh len.
*****************
Tawaaf ke baad 3 Asrkaan karne hain :
(1) Maqaam e Ibrāheem alaihis salaam par haazri aur Namaaz e Waajib-ut-Tawaaf padhna.
(2) Multazam par haazri.
(3) Zamzam par haazri.
*********************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe meSab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur In baato ko yaad rakhkar amal karne ki aur dusro ko bataane ki taufiq ata farmae.Aur sab ko Ka’abatullāh aur Roza e Rasool ki ziyarat ki sa’adat ata farmae aur sahi tareeqe se Tawaaf ada karne ka mauqa ata farmae.
Aur jo khushnaseeb Mo’min Hajj ke liye jaa rahe hain un ki Hajj, Umrah, Tawaaf aur Ibaadat ko qubool farmae.Aur un ki tamaam jaa'iz duaen qubool farmae.Aameen.
No comments:
Post a Comment